O grze:
Pakistan aik aalmi taqat k toor pe? E-sim mein ye mumkin ha.
E-sim mein humaray pass aik aik bari awr zinda dunya ha, jo zameen ki mukamal copy ha. Theek ha mukamal nai, koi k taqat ka tawazun is mujazi dunya mein haqiqi dunya ki nisbat zara mukhtalif nazar aata ha. E-sim mein USA ko alami taqat nai ban’na parta ha, isko bhuhat chotay mulk ki hasiyat sy moosar tareeqay sy sambhala ja skta ha, jis mein karobari shehri haan jo k iski bunyaad haan. Hr cheez ka inhisar khud khilarion pe hota ha awr wo khel k shiyasi naqshay ki tashkeel ka faisla krtay haan.
Apnay mulk k lye kaam kareen awr isko aik sultanat banayein.
Is game mein sargarmian kai modules mein taqseem haan. Sub sy phelay economy ha, apni pasand k mulk k shehri k toor pe apko paisa kamanay k lye kaam krna ho ga, jisko ap food ya hatiyar k khareednay k lye istimal kr sktay haan, jo apko acha fighter ban’ne mein ehm kirdar aada krta ha. Ap ya tu private company mein jo dosray khilaroon k pass ha ya ap sarkari company mein kaam kreen gay jo k sarkar k pass hoti ha. Game mein taraki panay k baad apni zati karobar bana sktay haan awr dosray players ki khidmat hasil kr sktay haan. Agar ye kaam bht acha chalay tu ap pani Stock Company bi bana sktay haan, is sy ap stock market mein dakhil ho sktay haan awr is tarah ap awr bi zaida raqam kama sktay haan.
E-sim mein ban-ul-aqwami jangein mamool haan.
Aik ba-asar siasatdan baneen
Dosra module siyasat ka ha, Bilkul aam zindagi ki siyasat ki tarah, siyasat bht taqatwar tool ha jisay ap apnay muqasid k lye istimal kr sktay haan. Waqtan fa waqtan is game mein election bi hotay haan jis mein ap na siraf vote daleen gay bulke is party k leader k lye intikhaab larnay ki ehliyat bi rakhtay haam. Ap congress(parliament) k lye bi application de sktay haan, jahan aik martaba muntakhib honay pe apko apnay sathi congress k members awr sadar k saath laws pe vote kr sktay haan awr khud bi law bana sktay haan. Laws pe vote krna ehm ha kio k is sy apkay aas pass ki zindagi mutasir hoti ha. Ap party k leader bi bn sktay haan awr yahan tk k ap sadar k election mein bi hisa le sktay haan awr mulk ki kharja policy bana sktay haan(jese kis sy jang ki jaye). Siyasat mein career asan nai ha is mein kamyabi k lye apko aik achi mansooba bandi awr voters k vote k lye koshish krna ho gi.
Ap stock market kheltay hway ameer bi ho sktay haan awr dewalya bi.
Ban-ul-aqwami jang
Aakhri awr shahyed sb sy ehm module fauji ha. E-sim mein mulk aik dosray k ilaqon pe qabo panay k lye laar rahay haan, jis k badley mein wo qeemti zakhair hasil kr sktay haan. Is muqsad k lye mumalik apas mein itihad banatay haan awr bean-ul-aqwami jangeen lartay haan lekin inko indoorni jangeen bi larni parti haan, jese fatah yaab mulkon mein baghwat ya khana jangi. Ap in jangoon mein bi hisa le sktay haan, lekin apko aik aman pasand mulk k toor pe zindagi guzarnay ka mooqa bi diya jaye ga jo k game mein dosri sargarmion ki taraf tawaju deen gay( misal k toor pe, aik kamyaab akhbaar chalana ya mosnuaat farookhat krna).
Auctions mein ap apnay khwaboon ki inventory bech awr khareed sktay haan.
E-sim browser aik anookha khel ha. Is k developers ny asal dunya ki copy ban’ne ki koshish ki ha awr sare taqat khelnay waloon ko di ha k wo jese is dunya ko bana chahtay haan banayein. Tu ayein awr is mein shamil hoon awr apnay mulk ko pori taqat ban’ne mein madad kareen.
Sarmaya kari, padawar awr farookht - E-sim mein karoobari baneen
E-sim k latadaad event mein shirkat kareen.